Khwaab ki ta'beer

Q: Main aaj subho ik khawab dekha muje us ki tabeer bta dejiye. Main apne ghar ki doosri gali mein hoon aur apne ghar wali gali main achanak shor sharaba hota hai jaise kisi ne kisi ko koi cheez mar di hai main nazar andaaz krta hoon phir sochta hoon k dekhna chahiye k kis ko mara hai to main apni gali main jata hoon to pta chala k meri ammi k sar pr koi cheez lagi hai aur ammi dard se bohat zyada karhaa rahi hain, ammi k sar pr kuch lagne se 2-3 inch ubhaar sa bn gya hai phir main ammi k sar pr hath rakh kr Bismillah padhta rehta hoon k kuch nahin hota Inshaa Allah ap theek ho jayn gi aur main padhna jari rakhta hoon aur wo ubhaar kafi neeche ho jata hai phir khawab khatam ho jata hai.

A: Har waq aap apne maa baak ki khidmat kare owr un ki takleef owr pareshaaniyo ku door kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada