Khwaab ki ta'beer

Q: Maine is ramazaan ki doosri subah ko ek khwab dekha. Maine apni hone wali ahliya ko dekha jo meri behno ke saath mere ghar me aai hain. Ghar me koi taqreeb hai mujhe baad me pata lagta hai. Maine hone wali ahliya ki taraf dekha to unki aankhein bahut badi badi thi. Phir unhone parda kiya. Phir mein apni hone wali ahliya ke ghar gaya. Thodi der baad yeh khabar milti hai ki dopahar mein aasmaan mein do aftab hain Maine aasmaan ki taraf dekha to do aaftab barabar barabar hai aur roshan hain. Mujhe kisi aasmani azaab ka andesha hua. Saari duniya ke log apni chhaton par aa kar yeh nazaara dekhte hain aur herat karte hain. Is khwab ki tabeer bata dijye.

A: Jab gunaah aam hojae owr lowg us ki taraf beparwaahi dikhae owr lowg us ku ne rowkhe to Allah Ta'ala naraaz hote he owr azaab bhejte he. Is sangeen waqt me aadmi ku chahia ke apne bachaw ka samaan lele owr apne Deen ki hifaazat kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada