Khwaab ki ta'beer

Q: Mai ne kal khwaab me dekha ke mai or mere walid fout ho gae he or mout ka farishta hamay leney aaya he.mera husband merindead body ko paker ker khoob ro raha ha. Farishtay hamay ooper le jatay hain waha ek aam sa kamra hota hai lakin us ki charo taraf Allah k naam likhay hotay hain. Mere walid ko wo jannat me bhej dete hain or muje wahi chor dete hain or kahtay hain waha jannat hai chali jao..mai thora aagay bharti hu to agay seriya hoti hain mai un per charhnay lugti hu to waha saanp hotay hain pahle chotay or patlay phir thoray baray saanp.!e bohut der jati hu or rotay huay Allah se faryaad kerti hu k aye mere rub muje wapis bhej de dunia may mai waha ja k wasi he zindgi guzaru gi jasi tu ne guzarnay ka hukam diya tha..phir mai wapis dunia me aati hu or apne husband ko b nahi pahchanti to metri aankh khul jati he....muje plz is khuaab ki tabeer bata dain mai bohut upset hu.....mai shadi se pahle poori namazain parti thi but ab saal hogya he fajer nhi perh rahi.mera husband deen ki taraf bilkul b nhi hai. Aap muje mere khuab ki tabeer bata dain plz.mai unki taraf se b bohut preshan rahti hu.

A: Aap apni aakhirat ke lia tayyari kare owr apni zindagi ku Huzoor Sallallahu Alayhi Wasallam ki Mubaarak zindagi ke mutaabiq guzaarne ki kowshish kare. Musalmaan ku chahia ke har wat apni aakhirat owr qabar ke lia fikar kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada