Khwaab ki ta'beer

Q: Mene khawab me khud ko nahi dekha. khawab me ik aadmi thaa jiskaa adha face jalaa ya bigraa hua tha or baki adhaa jo tha wo bhy ajeeb sa thaa or uski aankh normal shape ki nae thy. Puri round (circle) the. Wo ayk larkay ko baazuon me uthaey le k jaa rha tha or us larkey ka puura jism kisi dhaanche ki tarha sookha hua tha. Achanak kahi sy koee tez raftar bari cheez usse takrati hui chali jaati hai owr wo larka us se door gir jata hai. aadmi ko kuch nahi hota or larkey ka sar badan sey alag ho jata hai or gardann (neck) ki naali me sy ajeeb yellow/green rang (color) ka fluid pressure sey nikalta hay or kaafi jaga py phel jata hai or is pressure ki waja sey wo utraa huaa sir move bhi karta hai. Phir wo aadmi utra huaa sar pakarr ke zor zor sey us larkey ko pukaarta hai or bolta hai "hum naakaam ho gaey, tum kaamyaab ho gaey, hum faqeer ho gaey, tum baadshah ho gaey." Is ek baad meri aankh khul gae thy. please tell me as soon as possible. I have never seen such thing before and I normally don't see dreams. Ye khawaab kaafi time ke baad mene dekha hai or kaafi ajeeb bhy tha jis ki waja se me bohat preshaan hun.

A: Fikar karne ki koi baat nahi he. Paanch waqt ke namaaz ke ba'd owr sowne se pehle chaar qul owr aayatul kursi parh lia kare. Allah Ta'ala aap ku tamaam shar se hifaazat farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada