Khwaab ki ta'beer

Q: Mene kuch dino pehle ek khawab dekha tha. Mujhe ziyada kuch yaad nahi. Ache se pr jitna yaad hai me batati hun plz aap iski tabeer bataye: Me aur meri mummy kahin ja rhe the aur raste me ek bahut khubsurat glass ki bottle thi usme teen crystals the jo bahut chamak rahe the tab mene bola ki ye yaqub alais-salaam ke crystals hai bht ache hai. Phir inhe aaj tak koi bahar nikal nahi paya hai agar bahar nikalo to gayab ho jate hai owr isme jo upar wala hai wo nakli hai. Uske baad mummy ne bola ek bar nikal ke dekhte hain owr jab hmne nikala to upar wala vese hi raha ar neeche ke jo do the vo gayab ho gaye. Tab mene mummy ko bola ki dekha apne upar wala nakli tha wo aise hi hai baki ke gayab ho gaye hai hum inhe dubara andar daal dete hai inhe aise hi rakhenge. Tab ek nakli wala to daal diya par jo neeche ke do the wo lizard me convert ho gaye. Me unhe dekh ke dar gayi. Phir dhyan se dekha to wo lizard ek dum thandi pad gayi thi mar rhi thi. Tab hmne use hath laga ke seh laya ar vo wapas zinda ho gayi. Phir hmne dono ko andar pani me daal diya bottle me owr vo phrse crystal ban gayi. Aap please mujhe iski tabeer bataen.

A: Insaan ke upar apni zindagi me mukhtalif qisam ke aazmaaish owr imtihaan aate he. Agar wo Deen par pukhta rahe, to Allah Ta'ala us ku shar se hifaazat karenge owr kamiyaab banaenge owr har cheez me us ku barkat milegi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada