Khwaab ki ta'beer

Q: Aik khwab ki tabeer bataa daen. Please maan apnaa uncle kaa ghar ka pas jaa raha hotaa hoon tu door saa mujhaa aik bagoola nazar aataa haa. Maan logon ko dekhtaa hoon kaa in ko pataa hi nai ka bagola aarahaa haa. Phir marae dil maan khiaal aata haa ka kahiin maan naa koi gunnah tu nahii kiaa aur maan taubaa kartaa hoon. phir maan jaldee jaldee uncle kaa ghar jataa hoon tu dekhtaa hoon ka woh apna ghar maan jaanaa lagtaa haan aur aik kutta ko deekh kar zara door aa jataa haan. Maan un kaa saath khraa hoo jaataa hoon.phir woh doubara ghar jatae haan aur maan bhii un kaa peechaa jaataa hoon tu kutta meree taraf aataa haa.

A: Paanch waqt ke namaaz ke ba'd owr sowne se pehle chaar qul owr aayatul kursi parh lia kare. Allah Ta'ala aap ku tamaam shar se hifaazat farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada