Khwaab ki ta'beer

Q: Maine apni shaadi ke liay istikhara kiya. Che days regular do nafil parh kar istikhara ki duya karta tha. Aur 6th raat ko mainay khwab main dekha kay mere saath koi larki hoti hai aur hum andheri galion main kisi restaurant main jatay hain raat kay waqt. Restaurant main sections banay hotay hain different colors kay, lekin main us larki kay saath jiss table/section main jata hoon waha sab kuch surkh (red) hota hai. Un ke paas mashroob hotay hain woh bhi surkh hotay hain buss phir meri aankh khul jati hai fajr ki namaz ke liay. Yeh khwab suraj nikalnay se koi half hour pehle dekha tha mainay fajr kay waqt. Please reply even if you do in a few words, if it is OK to get married to a girl we are looking these days or not.

A: Khwaab acha he. Agar larki ke Deen owr akhlaaq se tum owr tumhare khandaan wale khush he, to un se nikaah karle.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada