Khwaab ki ta'beer

Q: Pichle do din se main roz neend main daraawne khwaaab dekh rahi hoon. Pehle bhi main ne aise khwaab dekhe hai lekin pichle do din se yeh khwaab behad daraawne ho gaye hain. Aur yeh khwaab fajar se pehle ya baad main aate hain (ishraq se pehle). Kal raat maine dekha ki main mere ghar waalon ke saath unn ke puraane ghar jaati hoon aur wahaan koi awaaz mujhe yeh bolti hai ki aage ke verandah (porch) ki seedhi pe do keel lage hain unn ko nikaalne se kisi aurat ka kia hua jaadu tumhaare ghar pe khatam ho jaaye ga. main wahaan jaati hoon aur wahaan pe do keel ek ke upar ek lage hue pati hoon. Main un ko zor se kheenchti hoon aur wahaaan se lambe baalon ka ek dher nikalto hai. Main ghar waalon ko bolti hoon aur usi waqt sab ke saamne yeh baalon ka dher apne aap jal jaata hai aur main zor se yeh bolti hoon ki ab hum pe tera jaadu kaam nahi karega. aaaj maine dekha ki humaare ghar main kisi ki faut hoti hai par jab main unn ke paasa gayi toh dekha ki unn ki naak buri tarah se tedhi hogayi hai. Bas yeh dekh ke main jaag gayi. Aise sapne aate rehte hai. kabhi lagta hai koi kaala saaya mujhe maarne mere peeche daud raha hai aur main uss se bhaag rahi hoon. Meharbani kar ke meri madad karein.

A: Aap fikar ne kare. Paanch waqt ke namaaz ke ba'd owr sowne se pehle chaar qul owr aayatul kursi parh lia kare. Allah Ta'ala aap ku tamaam shar se hifaazat farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada