Haamila awrat ke saat nikaah

Q: Kia haamila aurat ke saath nikah jaaiz hai?

A: Agar haamila awrat iddat me he (khwa iddat-e-talaaq se ya iddat-e-wafaat se), to us ki iddat wad-e-hamal par khatam hogi. Jabtak us ki iddat poori ne hojae, us ke saat nikaah karna jaaiz nahi he. Owr agar haamila awrat ghair shaadi shuda owr zina se haamila hogae, to us ke saat nikaah karna jaaiz he. Lekin agar zina karne wala shaks ke elawa koi owr us ke saat nikaah kare, to us ke lia us ke saat humbistari karna jaaiz nahi he jab tak wad-e-haml ne hojae.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: