Larki ku batane baghair us ka nikaah parhana

Q: Muje es msg ka jawab detail me de de. Meri dost ki mangni us ke dada ne krwayi jis me wo khud tayar hui ti lekin woh us rishte se razi nahi thi. Us ka khyal tha ke bad me sb ko razi kr ke yeh rishta khtm krdegi.us mangni me use bthaye bgher us ka nikah bhi prwaya. jo ke use bad me bthaya gya. Meri dosth ko us ke chacha ka beta pasand tha to us ne chupke se chacha ke baitey ke sath nikah kar liya jis me gawah mojood the. Aap muje yeh bathaye ke kya yeh doosra nikah jaiz he jo us ne apni mrzi se chupke kya tha?

A: Agar pehle nikaah ke ba`d usne khalwat kya ho aur khaawind ko apne oopar qaaboo dene ka ikhtiyaar diya to ye pehla nikaah ho chuka he, aur agar usne pehle nikaah ka inkaar kardiya to doosre nikaah mu`tabar hoga.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)


Q: Me ne pehle bhi sawal pucha tha lekin me muthmaen nahi hu. Me aap ko detail me bthathi hu. Meri dost ki mangni us ke dada ne karwayi. Jis me woh khud tayar hui thi. Lekin us ka khyal tha ke bad me rishta khtm kardegi. Us mangni me us ka nikah bhi chupke prwaya. Jis se wo razi nahi thi. Meri dost ko us ke chacha ka beta pasand tha. Is liye us ne chupke se us se nikah kya aur miya biwi wala taluq chupke rakha. Phir us ka pehla nika kisi doosri wajah se khatam hogya. Lekin us ke doosre nikah ke bare me woh kisi ko batha nahi skthi thi. Ab us ke dada ne us ki shadi kisi aur larke se karwadi. Ab ap bathaye ke yeh thesra rishta sahi he. Kyunke us ne doosra nikah pehle nikah ke ooper kya tha. Aap please is pure msg pe ghor kare. Meri dosth bohath pareshan he.

A: Jab doosra nikaah usne karli to jo aurat nikaah me ho woh kisee aur se nikaah nahi karsakti. Ye had-darjah ki be-wuqoofi aur jahaalat he, ke nikaah me hote huwe koi aur rishta ko karaaye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: