Chaar rakaat namaaz me qiraat

Q: Mera taalluq hanfi firqa se he lekin mera aapse ye sawaal he ke aaj mujhe ayk ahle hadees ka mufti ne bataaya ke chaar rakaat farz me faatiha ke bad surah parhni laazmi hoti he warna namaaz jaaiz nahi hoti kya ye saheeh he? Hum pehle do farz me faatiha ka baad surah parhte he phir farz ki teesri rakat me faatiha ke baad surah nahi parhte phir aakhiri rakat me faatiha ke baad parhte he. Bataaye in me se konsi saheeh baat he?

A: Jo mas'alah us ne bataaya wo saheeh nahi he. Saheeh mas'alah ye he ke chaar rakat fardh namaaz me pehli do rakat me Surah Faatiha owr Surah parhi jaegi owr Aakhiri do rakat me sirf Surah faatiha parhi jaegi. Ye us waqt he jab koi akela namaaz parhe. Agar Imaam ke peeche namaaz parhi jae, to muqtadi chaaro rakat me khamosh rahega. Wo tilaawat nahi karega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)