Khwaab ki ta'beer

Q: Men ne subha ke time taqriban 8 baje ke baad sunday ko khwab m dekha ke mere bhai ki barsi ka khatam he sab behen bhai ae hue he mere cousin ki wafe jin ki death ho chuki h un k pas bhot hi chota sa Quran pak he wo sb ko dikha rhi h sare bari bari dekh rhe hote h k itne men un ke husband bahir se bike ka horn dete h means unbko lene a jate hen wo uthti hen jane ke lie to men un se kehti hon ke abi to men ne dekha b nai men un ke piche bhagti hon to wo mujhe wo Quran pak de k chali jati hen k un ko jana h un ke husband wait nai kren g phir men wapis a ke sub ko wo Quran pak dikhati hon or mufti saab ghr b wo wala nai tha jis m hum rehte h plz mufti saab is khawab ki tabeer bata den

A: Marhooma ka haal aakhirat mei acha hei, aur us ki neikiya aur balaayi apne khandaan ke logo ke darmiyaan apni maut ke ba'd bhi jaari hei. Marhooma chaahti hei ke un ke khandaan ke lowg Deen pur aawe aur Quran ki perwi kare.  

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada