Khwaab ki ta'beer

Q: Maine khwab main dekha ke main apni ammi ke ghar hun wahan ek almari ke paas khari hun wahan quran e karim rakha hai wo ekdam se niche girta hai main usko foran utha kar wapas rakh deti hun usi jagah. Iska kya matlab ho sakta hai please batayen.

A: Qur'an Shareef Allah Ta'ala ki kitaab he owr Allah Ta'ala ka paighaam he. Khwaab ki ta'beer ye he ke jo lowg Qur'an Shareef ki ta'zeem owr ihtiraam kare owr Qur'an Shareef ke ahkaamaat apne zindagi me leae, Allah Ta'ala un ku zindagi me izzat owr kamiyaabi naseeb farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada