Kiraaya ka ghar kisi teesri shaks ku kiraaya par dena

Q: Heavy deposit par ghar lekar usko rent par de sakte hai? Kya thrid party ko owner ki permission leke.

A: Agar kisi ne apna ghar kisi ko kiraaya par diya aur jis ko ghar diya gaya us ne kisi teesre aadmi ko kiraaya par diya to agar usi kiraaya par us ne teesre aadmi ko diya jis kiraaya ke ooper maalik ne us ko diya to jaaiz hoga. Aur agar ziyaada kiraaya par diya to wo jaaiz nahi hoga. Lekin agar ghar ke andar us ne kuch izaafa kiya, masalan ghar ke diwaaro ko us ne paint kar diya ya kuch almaariya banwa kar daala, to is surat me chyunke us ne kuch apna maal kharj kar diya ghar me to wo ziyaada kiraaya par de sakta he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)