Larki pehle nikaah ko inkaar kar ke chupke se doosra nikaah karna

Q: Me hanafi follower hu. Meri ek dost ki mangni uske dada ne krwayi. Woh us mangni se razi nahi thi. Lekin use is dhoke me rakha ke pir yeh rishta khtam kardenge. Woh us mangni me khud tayar hui. Lekin us mangni me us ke dada ne us ka nikah bhi prwaya. Jab maulana ne do admi beje larki se puchne ke liye to woh larki tayar beti thi aur khush lag rahi thi to unho ne larki se puche bgher maulana se kaha ke wo raxi he. Us larki ko mangni ke ek maah bad pta chala to us ne wo rishta khatm krne ki koshish ki lekin us ke ghar wale nahi mane. Us larki ko apne chacha ka beta pasand tha. Is liye us ne apne chacha ke bete se chupke nikah kar liya jis ka ilm kisi ko nahi tha. Aur us ke sath miya bewi wala rishta bhi rakha. Ab woh pareshan he kyunke us ke waliden us ki shadi us pehle larke se krwarahe he jis ke sath mangni aur nikah hua tha. Ab aap bathaye ke ye dusra nikah jaiz he ya pehla?

A: Agar larki ne pehle nikaah ko inkaar kar lene ke ba`d, chupke se doosra nikaah kar liya to doosra nikaah durust he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: