Khwaab ki ta'beer

Q: Mera sawaal ye hai ke mere behan ne khawb dekha tha. Us ne khawb me farishtay dekhye thay safaid rangh ke. Dou farishtun ke sar pe taaj laga tha. Aik taj pe Allah aur aik or Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) likha tha aur dekhna tha ki mere behan ke haath mai chaar Ruh(soul) thee.. aur wou fatishtey usey lejatay hai.. iski tabeer bataye.. Allah Ta'ala apko n hmko salamat rakhey aur lambi umar De.. Doosra sawaal ye hai k.. Mai sote huna you roz 3 bajay mere aankh khulte hai n koi Kala saaya mere saamne hota hai.. who apni shakaley badalta hai..mjhe bht darata hai.. mjhe kya karna cheye?

A:

1. Khwaab ki tabeer ye he ke agar insaan kaamiyabi chaahta ho to Allah Ta'ala ne kaamiyaabi ku Huzoor (sallallahu Alaihi Wasallam) ki Sunnat ki perwi me rakhi.  Agar koi apni zindagi ko Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke mubaarak zindagi ke mutabiq guzaare aur gunaaho se parhez kare to wo kaamiyaab hoga.

2. Paanch waqt ki namaaz ke ba'd owr sowne se pehle chaar qul owr aayatul kursi parh lia kare. Allah Ta'ala aap ku tamaam shar se hifaazat farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada