Khwaab ki ta'beer

Q: Meri mangni ho chuki aur abi shaadi honay mein 2 saal hain. Par meri jethani aur uski maa ka rawaiya meray sath sahi nahi lagta. Bazahir bohat achi lagti hain par hasad karti hai mujhse aur aksar meray khilaaf meri nand ko karne ki koshish karti rahi hai. Meray waalid faut ho chukay hain is wajah se aksar ghar mein honay walay maslo se bhi pareshaan ho jaati hun. Kaafi din se main namaz bhi sahi nahi parh rahi jab ke bohat koshish karti hun ke sab namazain parhun. Teen din se mujhe buray khawaab aa rahay hain aur ghar mein koi pareshaani bhi nahi thi. Pehle din maine khawab mein dekha ke main kisi problem se bachne ke liye ghar se bahir ati hun aur mera rape hota hai phir main kisi hostel parhai ke liye rehna shuro kar deti hun jahan mujhe meray school aur university ke classmates miltay hain jin mein kuch mujhse larai kartay hain aur akhir mein sab meray sath achay ho jatay hain. Dosre din maine khawab mein dekha ke meri mama kahin ghum jaati hain aur main unhe dhoondh leti hun lekin us ke baad ghar atay hoyay raastay mein kaafi bail dekhay jo meri taraf aa rahay hain aur main bach jaati hun lekin us ke baad phir meri ami kahin ghum jaati hain aur mujhe milti nahi phir meri ankh khul gaye. Teesray din main apni family ke sath baatain kar rahi hoti hun jis doraan aik larka ajeeb nazaron se dekhtay hoyay hamari taraf aya hai aur meri aik dost mujhe us se bacha leti hai lekin us ke baad koi buri se cheez musalsal meray peechay lagi hoti hai aur khawaab mein mujhe aisa hi samajh ata hai ke meray sath kuch rape jaisa hua hai aur main aur mera bhai us cheez ko mujh se bar bar dur kar rahay hain aur akhir mein main usay maar deti hun par mujhe yehi shaq rehta hai ke wo zinda hoge. Is se pehle bhi aksar maine jab koi khawaab dekha us mein hud musibat mein ya dukhi dekha, bohat kaam aisa koi khawaab dekha hai jis mein main khush hun ya phir koi pareshaani na ho. Aur ab teen din se khawaab mein hud musibat mein dekh rahi hun aur buri cheez se bachne ki koshish kar rahi hun.

A:

1. Aap apne ristiraadro ke saat acha sulook owr bartaw rakhe. Jab aap unse baat kare, to sowch kar baat kare. Beghair sowche, aap baat ne kare. Nabi Sallallahu Alayhi Wasallam ne irshaad farmaya ke unlogo ke saat acha bartaaw kare jo tumhare saat bad sulooki kate he. Paanch waqt ke namaaz ke ba'd ye attached dua parhe.

2. Fikar karne ki koi baat nahi he. Is qisam ke khwaab shaitaan ki taraf se hote he insaan ku ghabraane ke lia. Paanch waqt ke namaaz ke ba'd owr sowne se pehle chaar qul owr aayatul kursi parh lia kare. Allah Ta'ala aap ku tamaam shar se hifaazat farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada