Qurbaani kis ke upar waajib he

Q: Ma aik company me accounts ki job karta hun. Wahan meri salary 36000/- hay. Kia mujh pe qurbani wajib hay ya nahin agar chandi kay hisaab se lagate hen?

A: Qurbaani ke dino me agar kisi baaligh musalmaan mard ya awrat (jo musaafir nahi he) apne duyoon owr qardhe nikaalne ke ba'd agar is qadar maal ka maalik he jo zakaat ke nisaab ke baraabar ho ya us se ziyada, to qurbaani us ke upar waajib hogi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)