Khwaab ki ta'beer

Q: Darya Rehmat shareef ke ek buzurg hain Hafiz Peer Abdul Haq jin ko mein bohat manti hoon aur unki izzat karti hain. Mein un sey kabhi nahi milli kyun ke wo auraton sey nahi miltey. Aksar mein unhey khawab mein dekti hoon. Meine khawab dekha ke wo zameen per qaleen bicha hua hai, us per araam farma rahey hain. Unhoon ne white libaas pehna hai. Aur white socks pehni hain. Mein unhey kehti hoon key laein baba jee mein ap ke paoon duba doon. Wo mana kartey hain lekin mein phir bhi un ke paoon dubaney lag jati hoon. Wo punjabi mein mujhey kehtey hain ke terey hathon mein takabur hai. Mein apney haathon ko dekthi hoon aur kehti hoon. Merey haathon sey ap ko aisa kyun laga. Aur phir meri aankh khul jati hai.

A: Khwaab ki ta'beer ye he ke agar aap kamiyaab banna chahti ho to paanch waqt ki namaaz ku apne saheeh waqt par parhne ka ihtimaam kare owr purda ka ihtimaam kare tamaam na mahram lowgo ke saat. Issy tarah gunaaho se parhez kare owr apni zindagi ku Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) ki Mubaarak zindagi ke mutaabiq guzaare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada