Dua ke aadaab me se ayk adab

Q: Aik waqat thaa mujay apni duaon par bohaat yakeen thaa and mujhay surity hoti thee k mayri dua zaroor kabool ho gee. Allah pak say aik dua bohat shidaat say mangaati thee main n pora honaay ka yakeen 100% thaa. neyaat b saaf thee but wo dua qabool nahi hoi. os din k baad say muj say koi dua nahi maangi jaati. ye kahnaa ghalaat nahi ho gaa k mayra ap dua say yakeen haat gaya hay or ye soch zehan main agaee hay k jo Allah nay daynaa hay wo he daynaa hay ap kisi or cheez k leya jitnaa marzi koshish kar lain. mjy saab maloom hay k agr es duniya main dua kabool nahi hoti tu os k b chaar pehlu hain i.e akhraat k leya rakh di jaati hay, koi museebaat taal dayti hay etc but phr b mayray dil ko sakoon nahi milta n main zada dua nahi maang sakti pehlay ki tarha dil nahi lagtaa dua main. ajeeeb gunhagaar kisam ki kayfeyaat rahti hay mayray andar n her time feel hotaa hay main Allah Pak ki na pasandida Larki hoon. Plz tell me kia karon.

A: Dua ke aadaab me se ayk adab ye he ke dua karne wala apni dua ke qubool hone ki yaqeen rakhe owr dua karne me bhi jaldi ne kare. Jaldi ne karne ka matlab ye he ke wo Allah Ta'ala se kahe ke Allah Ta'ala kyu meri dua qubool nahi ho rahi he. Har cheez ke lia ayk waqt hota he. Aap apana dil Allah Ta'ala ki taraf pherde owr un ki rahmat ke lia dua kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)