Khwaab ki ta'beer

Q: Many ramzan mein khuwab dekha hai fajar ke wakt meri aik hamsai dost jo k ab duniya mein nehi rehi muje khuwab mein aa k bol rehi hai k tum 25 september yad rkhna many pucha q kya hua is date py to 2,3 Bar yehi bola k tum yad rakhna aur khuwab me ja k call b ki aur phir aisy hi bola many pucha tum logo ko ijazat ha wahan ki bat idr btane ki to boli nehi. Wo 27 saal ki age me March me foat hui hai aur bachay ki maa ban'ny wali thi. Achanak uski death ho gai. Aap please bataye tabeer aur wo aksar khuwab me ati ha.

A: Mayyit ye peghaam phoncha rahi he ke mu'min ku chahia ke jab tak zinda ho, har wat khoowb neak Aa'maal kare owr aakhirat ke lia tayyari kare kyunke maut ke ba'd dunya ki taraf lowt kar waapas aane ka ikhtiyaar nahi milega. Qur'an shareef ka kuch hissa parh kar ya kuch sadaqa dede owr us ka sawaab mayyit ke lia bhejde.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada