Awrat university jaana

Q: Mai ne yeh suna hai ke teen qism ke logon ki Allah madad karta hai. 1. Jo paak daman rehne ke liye nikaah kare. 2. Wo ghulam jo kitabat kare yani k deal k mai itne paise de kar azadi chahta hun. 3. Jo Allah ke liye jihad kare. To mai ne yeh poochna tha k mera case first wala hai. Aaj kal jo moashra ha or fahashi jitni aam hai to ma pakdaman rehna chahti hun. Mere ghar ka mahool itna acha nahi ha matlab jahan Allah k hukum mane jayen or na halal rizq ha na kapre kuch bhi halal nahi hai.. Me bht pareshan hun apne liye bhi or ghar walon k liye bhi. Meri age 20 hone wali ha 23 ko or me chahti hun kisi naik khandan ma naik mard ke sath mera nikkah ho jaye. Mujhe dolat se koi gharz nahi ha qu ke dolat se dunia kharidi ja sakti hai akhirat nahi. Laikin yeh bat ma apne ghar walon ko nahi samjha sakti. Me kiya karun? Ab me university ma admission lungi to wahan boys bhi honge or agr mujh se koi gunah ho gaya to is ka zimedar kon hoga? me bht koshish karti hun gunahon se khud ko rokne ki. kabhi kabhi phisal jati hun. Is liye mujhe nikkah karna hai naik mard ke sath ta k mera adha deen to bach jaye. kindly help me.

A: Shari'at ka hukam awrato ke lia ye he ke wo apne gar me rahe owr zuroorat ke baghair gar se baahar ne nikle. University ka mahol ayk ganda mahol he jaha gunaah owr fitne bohot hote he. Musalmaan awrat ke lia is mahol me rehna jaaiz nahi he. Us ke Deen, izzat owr akhlaaq ke barbaad hone ka bara khatra he. Agar muslmaan awrat mahfooz rehna chahti har qisam ke pareshaani se to us ku chahia ke hamesha neak mahol owr neak suhbat me rahe.

Paanch waqt ki namaaz ke ba'd ye dua parho. Allah Ta'ala neak rishta naseeb farmae.

رَبِّ إِنِّي لِمَا أَنزَلْتَ إِلَيَّ مِنْ خَيْرٍ فَقِيْر

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)


Q: Mai ne ghar walon se madrasse k liye bat ki but they don't allow me. Kehte hain ghar ma parho. Mera itna dil dukhta hai. Mere pas naik logon ki company bhi nahi hai. Mai ne kafi had tak khud ko change kar dia hai or yeh Allah ka karam hai mujh par ke unhon ne mujhe sidha rasta dikhaya. Mera apna bilkul dil nahi karta ke ma dunia ke liye parhun or dunia ke liye ghar se bahir niklon. Magar mai majboor hun ghar walon ke hathon. Kiya me hijrat kar sakti hun? Ma kahin door chali jaungi Allah mere liye raste banaye ga jaise Maryam (Alayhas Salaam) ke liye banaya tha. Agr ma ghar se chali gayi to gunah to nahi mile ga ke ma ne waledain ko dukh pohonchaya. Haalanke me Allah ke liye hijrat karna chahti hun ya me intizaar karun ke Allah mere liye koi rasta banaye ga?

A: Aap ghar me rahe owr Deeni ta'leem haasil kare. Ghar me rowzana Fazaa'il-e-A`maal, Fazaa'il-e-Sadaqaat owr Behishti Zewar ki ta`leem kare. Issy tarah Qur'aan Shareef ki tilaawat subuh owr shaam kare. Allah Ta'ala asaan farmae.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)