Khwaab ki ta'beer

Q: Me ne khwab me dekha ke mn aik unchi building py bethi hn ar mry samny aik shakhs hy jisy mn nhe janti mjy asa lgta hy ke wo kuch der bad mr jae ga, wo christian hta hy mn usy btati hn k tm muslman ho jao, hm hazrat Esa ke respect krty hn lekin wo akhri nabi nhe, Akhri nabi Hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) hn. Lekin wo meri bat nahi samjhta.

A: Hamesha neak lowgo ki suhbat me rahe owr buri suhbat se bache. Neak suhbat me neaki ka athar insaan ke upar aata he. Issy tarah buri suhbat me bura athar insaan ke upar aata he. Tamaam qisam ke mushtabah cheezo se bhi parhez kare taake tum bure athar se mahfooz reh sake (jaise internet, cellphone, TV, novels, etc.)

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada