Khwaab ki ta'beer

Q: Mufti saheb mene kuch dinon pehle ek khuwab dekha ke mein apne ghar ke third floor pr jhooley jhool rhi thi jo floor hamesha khali para rehta he. Meri kam wali uss hi floor pr safai kr rhi thi ke itne mein mujhy gallery se ek ajeeb sa admi nazar ata he. Woh itna lamba hota he ke uss ke zameen pr khare hone ke bawajood uss ka munh third floor pr nazar arha hota he. Mein yeh dekh kr dar jati hun aur apni kam wali se kehti hun ke woh isey mare. Woh jharoo se usey marti he pr voh kuch dur jane ke baad phr qareeb ajata he aur gallery se ghar ke andar jhankne ki koshish krta he. Mein neche wale floor pr bhaag jati hun aur dekhti hun ke vahan boht bari bari chipkaliyan ghoom rhi hen. Mein apni kam wali ko awaz laga kr kehti hun ke voh chipkaliyon ko mare. Voh unhe marne ki boht koshish krti he pr voh ek bhi nhi mar pati. Mein apne ground floor ki taraf bhagti hun toh mujhe uss admi ki tangein nazar ati hen. Mein apne father ko boht dare hue andaz mein kehti hun ke akar dekhein uss admi ko pr voh iss sab ko mazak mein ura rahe hote hen. Mein unhe dikhati hun uss admi ki tangein pr unhe tou kuch nazar hi nhe ata ulta voh mera aur mazak urate hen. Mein unhe apne samne sab dekhati hun pr unhe kuch nazar hi nhe ata. Mufti sahab iss khuwab ka kia matlab hua?

A: Is khwaab ki taraf diyaan ne de lekin paanch waqt ki namaaz ke ba'd owr sowne se pehle chaar qul owr aayatul kursi parh lia kare. Allah Ta'ala aap ku tamaam shar se hifaazat farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada