Khwaab ki ta'beer

Q: Mera sawal ye hai ke Maine khawb mai apney mahroom cozn brother ko dekha usne bola k tmko nai Ana bt Mai waha c baagh gaye. Iski kya tabeer hai?

A: Mayyit ye peghaam phoncha raha he ke aap ku chahia ke jab tak zinda ho neak Aa'maal kare owr aakhirat ke lia tayyari kare kyunke maut ke ba'd dunya ki taraf lowt kar waapas aane ka ikhtiyaar nahi milega. Qur'an shareef ka kuch hissa parh kar ya kuch sadaqa dede owr us ka sawaab mayyit ke lia bhejde.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada


Q: Aap key kehne ka kya matlab hai ki mujhe boht jaldi marna hai, isliye mere lia mahroom cousin brother ne bola ke aajaw aur Mai baagh gaye. Uska matlb ye hai ke mjhe bht jald marna hai? Please mujhe sach bolye ki kya baat hai?

A: Darne ki koi baat nahi he. Us khwaab ka matlab ye nahi he. Us ka matlab sirf ye he ke har ayk ku apni aakhirat ke lia fikar karna chahia owr tayyari karna chahia.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada