Khwaab ki ta'beer

Q: Ek Larki ka khwab hai. Khwaab dekha ke kisi anjan jagha pe bhot barish horhi hai phir roshni hui aur laga ke Allah paak ki awaaz hai, kehta hai ke bhot gunah horhe hai. Uske baad dekha ke paas ke ek baramde me gyi hu aur wha bhot se log quran padh rhe hai ek buzurg safed kapdo me padha rahe hai. Achanak paro ke huroof niche girne lgte hai aur wo buzurg ne kha ke sab apne hisse ke huroof utha le aur logo ko lekar usi barish wali jagha ki trf chaldiye to ek budhi aurat ne rok liya aur kha k tum mt jao aur wo quran ke 3 ayate padhane lgi to wo ayat mere samajh me agyi jo un buzurg ke padhate waqt nhi samajh ayi thi. Isi khwab me agla manzar khud ko ek kabristan me dekha aur ek bhot khubsurat aur insano ki jaisi boli bolne wali chidiya aur sath me koi aurat hai. Ek kabr pe kuch rakha hai jo us aurat ne mujhse kha ke ise uthao. Maine uthane se inkar kardiya phir ek khaufnak kila dekha jha koi dra rha hai. Sare khwab ek hi raat me dekhe hai.

A: Baarish se muraah Allah Ta'ala ki khusoosi rahmat he. Allah Ta'ala ki khosoosi rahmat apne makhsoos neak owr farma bardaar bando par barasti he. Agar aap un me se banna chahte to hamesha neak lowgo ke saat raho owr aysi jago par jaane se parhez karo jah gunaah hota he owr jaha mard owr awrat ka ikhtilaat hota he owr purda ka ihtimaam nahi hota he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada