Khwaab ki ta'beer

Q: Mene ye puchna tha k khuwab mein koi murda bar bar ay to iska kya mtlb hota ha wo naik hAi aur many dekha tha main us larki k sath paper day rehi hun wo khatam kar chuki jaldi jaldi par mera aik question ka jawab py ja k atki hui hoti hun wo btati ha k aisy ha jawab many ye likha ha par muje lgta ha k jawab koi aur hai muje maloom b hota ha par likha ni hota pura 2 ,3 bar kata hota ha lafz ko aur phir paper ka time khatam ho jata ha 2:30 py phir b mere hath me hota ha paper k isko kar k dungi ksi tara teacher ko phir dekhti hun khana laga hota ha aur sab bethy hoty hn us larki jo k Mar gai ha uski ami b hoti hain channo k kabab banay hoty hain jo k thanday rakhy thy many uthaey garam kar k lanay ke liye 2 wo mujse ly k pakar leti ha aik Mre pas hota ha hum kitchen me jatay hn tawa py oil b dala usko btaya k idr krny hn garam phir ankh khul gai.

A:

1. Jis mayyit ku aap khwaab me baar baar dek rahi he, us ke lia Qur'an Shareef ka kuch hissa parh kar, ya kuch sadaqah dede owr us ka sawaab un ke lia bhejde.

2. Khwab ka matlab ye he ke jab tak zindagi baaqi, Mu'min ayk imtihaan se guzar raha he. Lihaza har wat us ku chahia ke neak Aa'maal kare owr aakhirat ke lia tayyari kare kyunke maut ke ba'd dunya ki taraf lowt kar waapas aane ka ikhtiyaar nahi milega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada