Sar owr mowzo par Masah

Q: Mera sawaal ye he ke wudhu karty howe ulty hath par masah karna hadith se sabit hai ya nahi agr aisi koi hadith hai to hawaala zoroor de jawab me meherbaani hogi.

A: Agar masah se muraad sar ka masah he, to sar ka masah downo haat se kya jaata he. Hadith Shareef me aaya ke Aap (Sallallahu Alayhi Wasallam) apne sar ka masah downo haato se karte the. Owr agar mowzo par masah muraad he, to daai paair par daai haat se masah kya jaega owr baai paair par baai haat se masah kya jae ga.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)