Shaadi ke ba'd ghar walo ki taraf se pareshaani

Q: Meri shaadi ko kuch hi mahiney huwe hain. Shaadi k baad se mere gher main bht jhagre or fasaadaat hogain hain. Me apni family ko bht samjhdaar samjhta tha, lekin main feel ker raha hu meri waalidaa or meri bahan (sister) bahut galat ker rahi hain meri wife k saath baat baat main usko nicha dikhaya jata hai. Agar woh kuch kehde ke aap log aisa kiu kerte ho tu kehne main ata hai tum bahas kerti ho zaban chalati ho. Mere abbu ko complain ki jati hai mere abbu bhi humen hi dante hain. Meri wife pregnant hai phir bhi dhair sara kaam is se kerwaya jata hai. Meri bahan baat baat main isko zalil kerti hai. Main apni biwi ko apne paiso se kuch acha dilana chahu tu woh bhi inko bura lagta hai. Humare ane janey pe mera mere susral janey pe bhi inko bura lagta hai. Agar hum koi shikayat keren abbu ko to mummy and sister mun pe jhut boldeti hain la illa ha ilala ho perh ke. Ghar ka mahol bht kharab hogya hai saari din humare piche humari buraiyaan chalri hoti hain ya tu mere abbu ko humki buraiyan kerengi ya maasi ko ya parosan ko. Mera dil kerta hai ma gher chor ker chala jaun rukna ka maksad ye hai main apne maaa baap ka aik beta hu main unko chor ker nahi jana chahta main acha bhala kamata hu Allah paak ka karam se pura gher main chalata hu. Mian nahi chor sakta. Ab mujhe aap koi hal batain mujhe kia kerna chaiye ye hum log k saath kia horaha hai.

A: In haalaat ke peshe nazar behtar ye hoga ke aap alag makaan rakhe, unke saath ne rahe.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)