Khwaab me Ka'bah Shareef ku dekhna

Q: Maine aik khawab ke tabeer pochne ha. Maine khwaab mein khaana kaaba dekha lekin makkah mein ni kisi owr jaga dekha thore unchai per r maine khud ko dekha k mein kaaba k samne khare ho kr dua kr rhe hun r phr usk baad maine dekha k myn r mere behen namaz parh rhy hn kaaba sharif myn he lkin namaz parhte hue ni dekha bs aisa mehsoos hua jaisy k hum ny namaz parhe ha r phr hum log ghr wapis anee k lea niklty hain rasta siriyon (stairs) wala ha r stairs thore se hain r phr maine apne behen ko siriyon sy nechy dekha lkin mein abhi upar he the r dekha k siriyon k nechay aik black clr ka kutta betha hua ha r mjy nechay ane sy dar lg raha ha tb maine apne nechay khare behen sy kaha k wo kutty ko hatae par us ny bat ni sune mere phr achanak mere ami wahan agaen tou maine un sy kaha tou unho ny us kutty ko apne paon sy pechay kea r phr mere ankh khul gae r ni pta chla k mein siriyon sy utri hon k ni r kutta pechay hatta ha k ni ye ni pta chla (r thk sy ye b ni yaad k kutta bhonkta ha k nahi). Please es khawab ke tabeer bta dyn owr aik bat mere admission ka msla chl raha ha medicl k tou maine istakhara kea tha tb sy aisy khawab aa rhy hain Maine r khawab mein khud ko roty hue b dekha ha r sth janwaron ko b dekha ha lkin wo mjy kuch kehty ni ha. Please mjy btae mere khawbon ke tabeer.

A: Ye acha khaab hei. Khaab ki tabeer ye he ke agar aap Allah Ta'ala ki raza aur khushnoodi chaahti hei, to aap ku chaahiye ke aap apne zindagi ku huzoor (sallallahu Alaihi Wasallam) ki mubaarak zindagi ke mutaabiq banaaye. Panch waqt ki namaaz ku paabandi se apne saheeh waqt par parhne ki ihtimaam kare. Aank, zabaan, kaan aur dil ki hifaazat kare tamaam ghunaaho se aur purda ka ihtimaam kya kare tamaam na mahram larko se. Awrato ku chaahia ke ghar me rahe owr zuroorat ke beghair ghar se baahar ne nikle. Medical school ka mahol jaha mardo owr awrato ka ikhtilaat hota he owr jaha purde ka ihtimaam nahi hota ayk bedeeni mahol he. Musalmaan awrat ke lia ayse mahol me jana jaaiz nahi he. Aap ku chahia ke ghar me rahe owr Deeni ta'leem haasil kare. Agar aap Sunnat ke upar chalegi owr gunaah se bachegi, to Allah Ta'ala aap se khush honge owr ghar me rehte howe Kabah shareef ka noor aap ku haasil hojayega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada