Razaa'ee behn ke saat nikaah karna

Q: Meri khala ki beti ha us ne meri ami ka dod peya howa ha ak bar. Kia us sy mera nikkah hu sakta ha?

A: Wo aap ki razaa'ee behn he. Aap ka nikaah us se jaaiz nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)


Q: Me mazeed pouchna chata hu ke agr dod pelany kii ijazat us ke walidian sy na li gae hu or majbori ma pelya hu dod bus ak bar phr b yahi hukam ha? Or agr uski walida ya kahy ke main dod pelany ki ijazat kabi na deti agar mjha pata hota. Guzarish he ke tafseelan jawab de hadees wagra ke refrence k saat.

A: Har surat me us ke saat nikaah karna jaaiz nahi he. Jab us ne doodh ke zamaane me tumhaari maa se doodh peeliya (agar che ayk bar owr majboori me) to wo aap ki razaa'ee behn hogai he owr razaa'ee behn ke saat shaadi karna jaaiz nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: