Khuda Ta'ala ke lia kisi cheeze ku chowrna

Q: Insan jab kisi ko Allah ke liye chor daita hai jo usay sab se ziada azeez hota hai to us ko badle ma kiya milta hai? Mai ne kisi ko Allah ke liye chora halank us ke baghair ma bht akeeli hun. Laikin sirf Allah ke liye chora ke wo hame jaaiz or halal rishte me daal de ga jald hi Insha Allah. Laikin ma khush nahi hun que? Agr koi Allah ke liye kuch chorta ha to kia usay khush nahi hona chahiye? Mujhe to samjh nahi ati ma Allah se ziada muhabbat karti hun ya us se q k agr Allah se muhabbat karti to us ke piche khafa na hoti or agr us se karti to us ko chorti na. Me kia karun? i mean mujhe sakoon que nahi mil raha?

A: Allah usko uske badle me bohot hee baland martabah aur maqaam ataa farmaata he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)