Khaandaan ke baro se mashwarah karna talaaq ke bare me

Q: Meri shaadi ku do saal ho gye hain. Lekin merey shuhur ki adten theek nahi hain ab me un sey divorce chahti hun. Meney istikhara kia tu mujhey khab aya key meney hath me red color ki churi pehni hui hai jo kay tut gyi hai. Merey mamo mujhey chaar churiyan detey hain aur kehtey hain yeh pehan lo. Aur mein woh pehen leti hu.

Second time istikhara karney par yeh khwab aya key mein apney father say pesey maangti hun kay meney amrood (fruit) leney hain. Mujhey merey father 1000 rupee detey hain mein kahti hun yeh tu buhhat ziyada hain. Tu woh kehttey hain kuch pesey apney bhatigey ko dey do. Phir woh mujhey 1005 rupee detey hain. Mein kehtey hun ab thek hai aur bahir amrood leney kay liye jati hun lekin mein kehti hun kay chabri waley kay paas amrood kharab aur katey phatey sey hotey hain mein sochti hun agla amrood wala aye ga toh us dey le lun gi aur phir meri ankh khul jati hai.

In khwabun ki roshni mein mujhey bataien kay mein kya decission lun aur merey lye aainda kya behter ho ga.

A: Aap ke lia ye behtar he ke aap apne khaandaan ke baro se mashwarah kare is maamle me.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada