Ghar wale ke saat rowzana ta'leem karna

Q: Pehla khwaab maine dekha meri biwi kah rah hai Madina bekar jagah he. Mai gussa ho gaya or tu kya bol rahi he tab kahne lagi Ya Rasulullah madad or kahte kahte palang se gir rahi he koi mar raha ho or mera aankh khul gaya subah 3.15 ho raha tha. Dusra khawab-mere abba bimar the wo bilkul ache ho gaye he.

A: Aap apne ghar wale ke saat rowzana ghar me Fazaa'il-e-A`maal, Fazaa'il-e-Sadaqaat owr Behishti Zewar ki ta`leem shuru' kare. Issy tarah Qur'aan Shareef ki tilaawat subuh owr shaam kare. Paanch waqt ki namaaz par paabandi kare owr tamaam na mahram lowgo ke saat purda ka ihtimaam kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada