Nikaah ke sharaait

Q: Mae yeh janna chahta hun ke nikah ke farayiz aur ahem sharten kya hain? Aur agar ladka ladki jinka rishta unke gharwalo ki razamandi se ho gya he lekin abhi nikah nahi hua aur woh aapas me whatsapp pe baat kerte huye huye ek dusre se ye puchen ki kya mae apko qubool hun aur razamand hon halaki is baat ka unke gharwalon ko ilm nhi na koi gawah hai to kya woh dono nikah me shamil ho gaye ya nahi?

A: Nikaah ke durust hone ke lia shart ye he ke larki, larka (ya un ke wakeel), owr do Musalmaan baaligh gawaah majlis-e-nikaah me mawjood ho owr downo gawaah iyjaab owr qabool ke alfaaz ku sune ayk hi majlis me. Choonke ye sharaait nahi paai jaati he whatsapp par nikaah karne se, is wajah se nikaah munaqid nahi hoga.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: