Fuzool khiyaalaat

Q:

1: Hamare dilon ki baton se to sirf Allah hi wakif hota hai to jab ham koi naik kam karne ka irada karte hain dil mai to shaitan qu tarah tarah ke waswase dalna shuru kar daita hai ke ham akhir wo kam ya to karte nahi hain ya us ma wo jazba nahi hota jo pehle hota hai?

2: Allah ko khush karne ke liye kisi insan ko dukh de sakte hain? Matlab Haqooq ul ibad to maaf nahi hone jab tak wo insan maaf na kar de to agr kisi ka dil dukhayen Allah ko khush karne ke liye to kia jaiz hai?

A:

1. In fuzool khiyaalaat ki taraf iltifaat ne karo. Woh kaam karo. Kaam ka thawaab aur ajar marne ke ba`d maloom hoga. Usme jazbah kam the to ummeed he ke thawaab aur ziyaadah bhar jaayega.

2. Ye kayse ho sakta he. Allah kis tarah khush hoga jabke usee ke bandah ka dil ko dukhata he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)