Rukhsati se pehle talaaq

Q:

1. Kia husband apni wife sa bger new nikah ke ruju ker sakta ha agar us na rukhsati sa pehlay talaq di ho jab ke intercorse bhi na hua ho or b kuch na hua ho but sirf khalwat sahiha hui ho wife k gar ma? Agar ruju nahi ker sakta to kya foran new nikkah ho jay ga ya iddat ke bad ho ga?

2. Kya ye khalwat sahiha kehlay gi agar husband ye soch ke apnay susral jay k us k mother and father in law gar per hi hon gay lakin jab wo wahan pohnchay to maloom ho k wife akeli han or parents next street ma doctor k pas gay han or un ki wapsi kisi bhi lamhay ma ho sakti ha. husband drying room ma bathay or darwaza khula ho ta k koi bhi aye to seedha andar a sakta ho. is doran wife na namaz e maghrib ada ki ho drying room ma hi or husband k anay sa la ker wapis janay tak wudhu ma rahi ho or husband wife ma sirf normal bat chit k siwa kuch na hua ho na hi niyyat ho (salam k lia hand shake yad ni k kia tha ya ni)? 15 to 30 minutes ruka ho wahan.

3. kya "bus ma tumen talaq da raha hun (meant for dun ga)" kehnay sa talaq waqe hoti ha? ye jumla asay use kia ho jasay ham kisi ko future k lia warning den like ma ye job chor raha hun ya ma falan collage ma admission la raha hun or normal routine ma kaha jata ha aj hamaray gar guests a rahay han etc. or ye jumla discussion k doran bola ho boht bari fight na ho ri ho.

A:

1. Wo ruju' nahi karsakta he. Lekin agar us ne ayk ya do talaaq dedi, owr downo milna chahte to wo us se dobara nikaah kar sakta he naya mahr ke saat kwa iddat ke dowraan me ya us ke ba'd.

2. Khalwat-e-sahiha paai gai.

3. Is jumla kehne se talaaq hojaati he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: