Invesment me feesat ke hisaab se nafa' ku mutaayyan karna

Q: Mene mere dost ko invest karne ke liye kuch paise diye he. Usne sath milkar zameen kharidi he aur jab wo zameen bechta he to uske andar jo bhi profit hota he wo mere investment ke hisab se de deta he. To kya is tarah karna durust he?

A: Agar feesat ke hisaab se nafa' mutaayyan kya gaya masalan aap owr apne dowst downo milkar adha adha paise invest kya tha, to zameen bechne ke ba'd jo nafa' nikle ga wo tum downo ke darmiyaan adha adha hoga, ye durust he. Lekin agar khaas miqdaar paise ke upar tum downo ne shirkat ki, to ye jaaiz nahi hoga.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)