Kuffaar ke tareeqo se bachna

Q: Maine khwaab dekha hai jisme pehle mujhe ek sher babar cheetah or ek bakri bilkul white rang Ki dekhi jiske upar bohat saara hara sabz lada Hua tha or mene dekhba Ki me usko le ja rahi Hu or jaise hi mene use ek maidan ha Jo Ki hamara pehle wale ghar k piche hai waha ae le jaa rahi Hu or jaise me us bakri ko lekar waha se guzri hi tho k sher ne Hume dekh liya or humare taraf dauda tho Maine us bakri ko chod Diya to sher ne use pakad liya ,fir me waha se aage guzri fir Maine dekha Ki meri ammi mera beta or meri behen ka chota beta waha hai or meri ammi cheetah k sath khel rahi hai Ki apna sir uske muh me de rahi hai or nikal rahi or me unhe aisa karne se mana kar rahi Hu. Uske baad mene dekha k hum yani meri ammi me or mera beta ek pahan per Gaye haha ek mandir hai or meri ammi or bhi rishtedar baiteh hai uske andar or jab me waha pahuchi tho sabh khana kha chuke hai fir unhone mujhse kaha Ki andar aao orr khana khao tho mene mana kar diye fir tho hujjat ke baad mene kaha Ki Lao mujhe bhi do tabh unhone kaha Ki abh sabh khatam ho Gaya hai fir baarish hone lagi or waha ek ped k niche meri best friend us bariszh k Jana pani me bhig rahi hai ek chote se ghade me or me use aisa karne se mna kar rahi hun. fir meri ammi ne mujhe kaha Ki tum bacche ko lekar akele mat jao ghar per. fir Maine jid Ki nahi mujhe jaana hai or me waha se akele hi train se ghar laut Gaye.tho mene kya dekha Ki mere shohar or me mere ghar ke bahar khade hi the Ki ek gadi aaye or jaise hi woh gadi ka darwaza khula tho mene mere bete ki jo chaar saal ka his usko kafan me dekha or fir merree muh se ya Allah nikhla or meri need thut gayi. Meherbani karke is Ki tabir bataye.

A: Panch waqt ki namaaz ku paabandi se apne saheeh waqt par parhne ka ihtimaam kare. Neak suhbat ikhtiyaar kare owr tamaam mushtabah cheezo se parhez kare (jaise cellphone, internet, TV, waghairah). Ghalat salat qisam ke lowgo se door rahe aur ghayr muslimo ke saath milna julna aur unke tehwaar se bohot hee door rahe, unke libaas, unke chaal daal, unke rusoom aur riwaaj se parhez kare. Isee tarah unke banaaye video se khusoosan ihtiraaz kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada