Rishtidaaro ke huqooq ada karna

Q: Mene aaj baad fazr khwab dekha Ki meri nanad sahiba mere ghar par aai hai or mmeri ammi or behne baiti hui hai. Fir meri ammi meri nanad sahiba se puchti hai Ki kabh tak shadi karogi toh woh farmati hai k abhi nahi Ki fir meri ammi mujhe bolti hai Ki zameen par bohat saare daimonds ke saath much nakli daimonds bhi girer hue the or unhone mujhe unhe uthane kaha tho Maine use utha liye or ek cylinder k niche unhe aise hi daal diye. Fir meri ammi Quran Pak ka wasila dete hue kahne lagi meri nanad sahiba se Ki tum log kyun aisa karte ho jo Ki ek begunah Ki dil agar dukhaoge tho qayamat ke din uski puch tum se Allah karega. Toh inhone kaha ke mere 3 bhai hai jinko sirf apni or apni aulad or biwi me mashroof hai tho aise me woh shadi nahi kar sakti hai. Meherbani karke iski taabeer bataye.

A: Tamaam rishtidaaro ke huqooq poora kare owr acha sulook owr bartaw rakhe unke saat. Apni nigaah hamesha sirf Allah Ta'ala ke upar rakhe.Sirf Allah Ta'ala hamare kaam banaasakte owr hame khush rakhsakte he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada