Shaadi me pareshaani

Q: Mera masla shaadi ko 5 se 6 saal hogaye aulaad nahi he. Uska shohar or sasuraal walay shuru se sahi nahi hai asal mai shadi ka istikhara sahi nahi tha phr bhi shadi kr di gayi ab surat-e-haal ye hy k baat baat pe bezati ki jati hh talaq ki dhamkiyan dewar tak izzat nhi krtay lekin me ne 5 saal se sabr kiya hua hy apne maikay walo tak ko nhi bolti meray shohar ki dusri shadi ka socha ja raha hy jab k mera ilaaj tak nhi krwaya jata aulaad k liye ek mahina ilaah hota hy phr saalo bhool jatay hy zameeni 0 pe zameenay li ja rhi hy lekin ilaaj k liye paisay nhi or ilaaj nahi karwatay mera sabr jawab de gaya hy dil bhi bezaar hogaya hy her cheez se plz mujhay koi raasta dikaye.

A: Meri raaiy ye he ke apne waalidayn se aapki haalaat se muttali kardo.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)