Khwaab me maut se muraad

Q:

1. Mera sawaal ye hai ki mai aik haftey se sirf kabi papa ku martey dekhti hun kabi maa ko. Aaj Maine khuda nakhasta apni maa ke qabr Dekhi mai but rorahi thi.

2. Mera doosra sawaal ye hai ki teen days se mai continuesly mai dekhi hun koi ladka khidki se aata hai like jinnaat. Naak taq toopi laga ke doosre din dekha koi chota ladka dikhta hai safaid kapdey laga ke. Mai khawb mai hi maa ko bolte jun mujhe koi dikhta hai aj b dekha koi ladka aata hai mere waalid khawb mai bolta hai ke ye koi naya molvi sahab hai jo ajeeb se dekhtaa hai.

3. Mere mom sirf apney maikey ke rishtadaarun mai maatam dekhtee hai. Jjaise koi mara hua hota hai. Please inki tabeer bataye.

A:

1. Khwaab me maut kabi safar ki taraf ishaarah hota he.

2-3. Paanch waqt ki namaaz ke ba'd owr sowne se pehle teen qul (Surah Ikhlaas, Surah Falaq owr Surah Naas) owr aayatul kursi parh lia kare. Allah Ta'ala aap ku tamaam shar se hifaazat farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada