Marhoom waalid owr daadi ku khwaab me dekhna

Q: Maine khwaab me dekha ke meri papa jinko guzre huye teen saal ho chuke hai ammi owr papa dono rorahe hai. Maine jab apne ammi se pucha ke papa qu rorahe hain tab unone bataya ke tumhari dadi jinko guzre huye bahout sal ho chuke hai chahti hai ke tumhara owr ek bhai ajaye jo ke mumkin nahi hai. Jaldi se tabeer bataye. Bahout ajeeb khwab thaa. Hamlowg paanch behne hai owr ek bhai. Walid ko guzre huye teen saal hochuke hain.

A: Tumhare waalid owr un ki waalida chahte he ke tum sab Deen ke raaste par chale. Awlaad agar neak ho owr Deen ke raaste par chalte ho, to ummeed he ke wo apne maa baap ku yaad karenge owr un ke lia kuch sawaab bhejenge un ke intiqaal ke ba'd. Qur'an Shareef ka kuch hissa parh kar, ya kuch sadaqah dede owr us ka sawaab apne marhoom waalid owr daadi ke lia bhejde.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada