Bimaari ki wajah se namaaz beth kar ya leth kar parhna

Q: Meri sihhat hamesha kharaab rehti he operation bhi aaya mujhe kabhi bhi theek nahi hota he. Marne ka khouf he. Kaaley aur safed saaye nazar aate he. Sar phat ta he. Mera bhaari pan se namaaz parne se nafrat he. Baraaye meherbaani mujhe madad kare.

A: Pareshaan hone ki koi baat nahi he. Bimaar hone ki haalat me Shari'at ne bohot si rukhsate di. Agar koi khare hokar namaaz parhne par qaadir ne ho, to wo beth kar parhe. Agar koi bethne par qaadir ne ho, to lethe huwe ishaarah ke saat namaaz parhe.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)