Na mahram lowgo ke saat purdah ka ihtimaam karna

Q: Maine khwaab daikha ke masjid gae hun apne khala ke beti ke sath. Mere ghar ke sath jo masjid hain wahan gaey hen hum dono owr wo wahan shama roshan kar rahe hai. Jin main se kuch bujh bhi jati hain hawa se. Main bhi ose jaga hun lekn ar aurton ko daikh rahe hun jo shamain "(candles) roshan kar rahe hain. Kindly tabeer bataen.

A: Tamaam na mahram lowgo ke saat purdah ka ihtimaam kare owr aysi jaga jaane se parhez kare jaha mardo owr awrato ka ikhtilaat he owr purda ka ihtimaam nahi hota he. Shariat ka hukum towrne se aadmi gunahgaar hota he owr uske Imaan ka noor khatam hojata he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada