Khwaab me maut se muraad

Q: mein abroad rehti hun. Meine khuwab dekha ke hum Pakistan gaye huwe hain aur wahan mere parents fout ho gaye hain (joh k hayaat hain). Phir jab hum apne parents k pas bethey ro rahe thay k toh dono achanak se uthey aur meri ammi ne kaha k hum rooh hain aap log darood shreef parho. Meine darood shreef aur kalma shahadat parha. Meine apne bhai se poocha k hamare parents ko hua kya tha joh woh dono ek sath hi fout huwe hain. Unho'n ne btaya k kisi ne unn dono pe kala jaadu kia tha jiski waja se unki death hogyi hai. Sir alhamdulillah mere parents theek hain. Aur namaz ke paaband hain. Sir please aap yeh btayein k iss khuwaab ki taabeer ka hogi. Shukriya.

A: Khwaab me maut kabi safar ki taraf ishaarah hota he. Mumkin he ke wo aainda kahi safar karenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada