Mulaazamat se ayk ganta pehle ghar chalaajaana

Q: Mein abi tak duty khatam honay se 1 hour ya 1.5 hour pehlay he ghar chala jata tha, kaam khatam ho jata tha to, aisa 2,3 bar he howa ho ga maximum k baad mein kaam aya ho aur wo kaam zruri bhe nai hota tha, dosre din ho jata tha, to meri salary mein kuch haram bhe mix ho gia, ab Allah ka shukar hay mein ne toba kr le aur time per jata houn, to wo maal jis mein haram bhe tha wo kuch meray pass save hay aur mein ne kapray jootay aur sub kuch usi ka abi bhe use kr raha hn, to ab in cheezon ka mein kya krun, jo maal jama hay us ka bhe btaen k wo meray liye jaiz hay ya na jaiz, aur jo kuch mein use kr raha houn kapray ya aur use ki cheezain?

A: Aap apne aaqa (jiske yaha tum mulaazamat karta he) se daryaaft karle, agar unko ye soorat manzoor ho to lihaaza koi fikr karne ki dharoorat nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)