Teen talaaq

Q: Main ne aik masla poochna ha ke mera first cousin saudia main hota ha or us ny phone pr apni bivi ko teen dafa talak di ha so poochna ha ke is taran talak ho jati ha jab ke main nay suna ha ke teen haiz main teen talaqain danay se talaq hoti ha. Please guide me. Mazeed ye ke jab nikha k liyay gawahan ke zroorat hoti ha to talak kaya itni mamooli bat ha k phone pr denay se ho jati ha halan k main nay yay b suna ha k hadees sharif ka mafhoom ha k talak k baad aurat 4 month or 10 din apnay shohar k gher main hi guzaray gi or us iddat k tamam akharajat shohar k zimay hon gay to jb islam main yay gunjaish ha k aurat iddat b shohar k gher main puri kray then yay kaise mumkin ha k dir phone kr k talak ho jay jb k shohar k gher iddat puri krnay k hukam se to saaf zahir ha k hamara deen akhri hud tk koshish krta ha k gher kharab na ho. Please guide me in detail.

A: Shari'at ne showhar ku sirf teen talaaq dene ka haq diya. Jab showhar ne apna poora haq istimaal kar lia owr poori teen talaaq ayk saat de di, to ab nikaah tootgaya. Downo ayk dowsre ke lia haraam hogaye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: