Shaadi me pareshaani

Q: Mera masla mere husband se related hai. Hamari shaadi ko do saal hogaye hain, mai unse boht mohabbat karti hun lekin ab tak wo understanding nahi hui. Wajah ye hai ki mai boht deendar family se belong karti hun jahan parde ka aur allah ke tamam ehkam ka aehtimam kia jata hai lekin mere sasural uske baraks hai shohar ek multinational company me job karte hain jahan ladke aur ladkiyon me koi farq nahi hai aaye din party disco trips waghaira chalte hi rehte hain.. Mai unhe samjhati hun lekin wo kehte hain ki wo kisi ke liye change nahi ho sakte mujhe aise hi accept karna hoga. Sasural me namaz ki pabandi nahi hai mai pregnant hun mai chahti hun meri aulad deendar ho aur mere shohar ko b hidayat miley.. Baraye meherbani is masle ka hal bataden aur koi dua ya wazifa bhi.

A: Aap apne deen ke oopar madhbooti se jame raho zarra baraabar kamzori ne dikhaao. Pehle zamaane me bare auliyaa par bhi is qisam ki aazmayish aye woh jame rahe yahaa tak ke Aasiya jo Firoun ki ghar waali thi unke oopar itne sakht aazmayish aayi ke jaan bhi dedi. Phir Allah uski ta'reef aur madah farmayi aur aakhirat me woh Nabi (sallallahu alaihi wa sallam) ke sath hogi. Kis qadar bari fakhar ki baat Nabi (sallallahu alaihi wa sallam) ki ma`iyyat aur saath hona.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)