Shaadi me pareshaani

Q: Mere shaadi ko 20 saal ho gaye Masha allah. Ghar me deendari acchi hai lekin main shohar ke waja se pareshan hoon. Paanch waqt ke namaaz aur deen ki mehnat me lage hain lekin masala ye hai ke mere rishtedaron ko bilkul pasand nahi karate mere may baap ghar pe aaye to baat nahi karate gussa karate hain sab ke chide rehte hain main deen ki baht baate samjhati hoon leki faayda nahi. Wo khud tabigh se hain. Masala ye hai ki mere parents ki maali halat achichi hai aur 20 saal se haalaton se guzar rahe hain mere parents need mujhe saat bahut diya hai berozgari ke waqt 10-12 saal tak mere poore family ki dekhbhal ki hai aaj bhi hamare liye karte hain lekin mere shohar dil saqt hua hai kisi ke aane per surat banate hain is liye hum dono me ladai hoti hai main samjhati hoon mehmannawazi ke baare me phir bhi koi faayda nahi allah ke hukum se mere liye koi hal batayiye main namaz ke alawa bahut kuch padhti hoon qarz ki adaigi ki dua sura tauba ke aaqri aayton ka wird dilon ko jodne wali dua aur bhi kuch hamesha padhti hoon phir 20 saal se mere pareshaniyaan khatm nahi hoti main koi bhi baat mere shohar ko hadees ke hawale se samjhati hoon phir bhi faayda nahi 20 saal se main bahut saare qurbaniya dee hai jo sirf allah hi jaanta hai ab mujh se bardasht nahi hota waise mera beta 18saal ka beti 14 ki hai main 36 aur mere shohar 50+ ke hain ab in tension ki waja se beemar hoon mere liye koi hal batayiye allah se madad ka zariya baniye mufti sahab na meri duniya bani hai na aakirat.

A: Aap apne showhar ke huqooq ada karti rahe owr un ke lia dua karti rahe. Ghar me Fazaail-e-Amaal owr Fazaail-e-Sadaqaat ki ta'leem rowzana kare. Allah Ta'ala un ki dil ku naram karenge tumhari rishtidaaro ki taraf. Ye attached dua rowzana parhe. Allah Ta'ala mahabbat owr ulfat paida karenge khaandaan walo ke darmiyaan owr pareshaania door karenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)